Showing posts with label jazbaat. Show all posts
Showing posts with label jazbaat. Show all posts

Na Mila Karo

(Note:- 1. Non-Hindi friends please scroll down for phonetic script :) 
             2. Dont forget to post critics/comments below. 
             3. Share it with your friend, if you like it )


" न मिला करो " 

न सवाल बनकर मिला करों,
न जवाब बनकर मिला करों,
जिन्दगी हो तुम,
मुझसे जिन्दगी की तरह मिला करों ।

न दोस्त बनकर मिला करों,
न रकीब बनकर मिला करों,
इंसान हो तुम,
मुझसे इंसान की तरह मिला करों ।

न आस बनकर मिला करों,
न निराश बनकर मिला करों.
हकीकत हो तुम,
मुझसे हकीकत की तरह मिला करों ।

न आवाज़ बनकर मिला करों,
न खामोश बनकर मिला करों,
राग हो तुम,
मुझसे राग की तरह मिला करों ।

न अहसास बनकर मिला करों,
न जज़्बात बनकर मिला करों,
इबादत हो तुम,
मुझसे इबादत  की तरह मिला करों ।

न धुप बनकर मिला करों,
न छावं बनकर मिला करों,
वक़्त हो तुम,
मुझसे वक़्त की तरह मिला करों ।


Phonetic script:-

" Na Mila Karo "

Na sawal bankar mila karo,
Na jawab bankar mila karo,
Zindagi ho tum,
Mujhse zindagi ki tarah mila karo.

Na dost bankar mila karo,
Na raqeeb bankar mila karo,
Insaan ho tum,
Mujhse insaan ki tarah mila karo.

Na aas bankar mila karo,
Na niraash bankar mila karo.
Haqeeqat ho tum,
Mujhse haqeeqat ki tarah mila karo.

Na aawaz bankar mila karo,
Na khamosh bankar mila karo,
Raag ho tum,
Mujhse raag ki tarah mila karo.

Na ehasaas bankar mila karo,
Na jazbaat bankara mila karo,
Ibaadat ho tum,
Mujhse ibaadat ki tarah mila karo.

Na dhup bankar mila karo,
Na chhawn bankar mila karo,
Waqt ho tum,
Mujhse waqt ki tarah mila karo.



 (Dont forget to click on share button)



Aashish "Joy Madhukaran"
@All right reserved 201
2

Shayad....... Mera Koi Apna Tha

Na Jaane Kiska Chehra Tha Dar-do-Deewar Mey, 
Dil Key Aagaz Mey,
Shayad.... Mera Koi Apna Tha Iss Begane Sansar Mey.

Na Jane Kiski Aawaz Thi Abro-hawa Mey,
Geeton Key Saaz Mey,
Shayad.... Mera Koi Apna Tha Iss Begane Sansar Mey.

Na Jane Kiska Saya Tha Mere Sayain Key Saath Mey,
Us Bhigi Si Barsat Mey,
Shayad.... Mera Koi Apna Tha Iss Begane Sansar Mey.

Na Jane Kiski Khushbu Thi Meri Har Ek Saans Mey,
Zakhmon Key Jazbaat Mey,
Shayad.... Mera Koi Apna Tha Iss Begane Sansar Mey.

Na Jane Wo Kiski Dastak Thi Iss Tute Dil Key Makan Mey,
Nazmon Key Bayan Mey,
Shayad.... Mera Koi Apna Tha Iss Begane Sansar Mey.



Aashish "Joy Madhukaran"
@All right reserved 2011