Iss Shahar Ke Log

(Note:- 1. Non-Hindi friends please scroll down for phonetic script :) 
             2. Don't forget to post critics/comments below. 
             3. Share it with your friend, if you like it )

"इस  शहर  के  लोग"

कितने अजीब हैं  इस शहर के लोग,
बस भागे जा रहे इस शहर के लोग.

वक़्त नहीं अपनों से गुप्तगू का,
राह चलते-चलते चाय का मज़ा लिए जा रहे इस शहर के लोग,
कितने अजीब हैं इस शहर के लोग.

वक़्त नहीं अपने महबूब से आंखें चार करने का.
बस की भीड़ में मोबाइल पे बात किये जा रहे इस शहर के लोग.
कितने अजीब हैं इस शहर के लोग.

वक़्त नहीं यारों की यारी का,
इन्टरनेट पे बस चैट किये जा रहे इस शहर के लोग,
कितने अजीब हैं इस शहर के लोग.

वक़्त नहीं बीवी के साथ सुबह के नाश्ते का,
ऑफिस की टेबल पे बर्गर का लुफ्त लिए जा रहे इस शहर के लोग.

कितने अजीब हैं इस शहर के लोग,
बस भागे जा रहे इस शहर के लोग. 


Phonetic script:-
 

"Iss Shahar Ke Log"


Kitne Ajeeb Hain  Iss Shahar Ke Log,
Bus Bhage Jaa Rahe Iss Shahar Ke Log.

Waqt Nahi Apno Se Guptgu Ka,
Raah Chalte-Chalte Chai Ka Mazaa Liye Ja Rahe Iss Shahar Ke Log
Kitne Ajeeb Hain Iss Shahar Ke Log.

Waqt Nahin Apne Mahaboob Se Aankhin Chaar Karne Ka
Bus Ki Bhid Main Mobile Pe Baat Kiye Jaa Rahe Iss Shahar Ke Log
Kitne Ajeeb Hain Iss Shahar Ke Log.

Waqt Nahi Yaron Ki Yari Ka,
Internet Pe Bus Chat Kiye Jaa Rahe Iss Shahar Ke Log
Kitne Ajeeb Hain Iss Shahar Ke Log.

Waqt Nahi Biwi Ke Saath Subah Ke Nashte Ka,
Office Ki Table Pe Burgar  Ka Luft Liye Ja Rahe Iss Shahar Ke Log.
Kitne Ajeeb Hain Iss Shahar Ke Log,
Bus Bhage Jaa Rahe Iss Shahar Ke Log.


Aashish "Joy Madhukaran"
@All right reserved 2008

No comments:

comments

Post a Comment

Your valuable critics/suggestion/comments invited.