Jindgi Tu Mujse se Itni Ajnabi Kyu Hai!!

Kai Rah Guzar Chala Main Ab Tak,
Phir Bhi Tu Mujhse Itni Dur Kyu Hain,
Ae Jindgi Tu Mujhse Itni Ajnabi Kyu Hain!


Kai Afsanae Tujhe Suna Chuka Main Ab Tak,
Phir Bhi Tu Mujhse Khamosh Kyu Hain,
Ae Jindgi Tu Mujshe Itni Ajnabi Kyu Hain!


Kai Kirdar Nibha Chuka Main Ab Tak,
Phir Bhi Tu Mujhse Khafa Kyu Hain,
Ae Jindgi Tu Mujhse Itni Ajnabi Kyu Hain!


Kai Imtihaan Likh Chuka Main Ab Tak,
Phir Bhi Tu Mujhse Ruswa Kyu Hain,
Ae Jindgi Tu Mujhse Itni Ajnabi Kyu Hain!


Kai Baar Gir Key Khud Sambhla Main Ab Tak,
Phir Bhi Tera Mujh Pe Ehsaan Kyu Hain,
Ae Jindgi Tu Mujhse Itni Ajnabi Kyu Hain!


 Aashish "Joy Madhukaran"
@All right reserved 2011

Wo To Ek.....

Na Wo Jaana Hai, Na Wo Anjaana Hai,
Wo To Ek Pehchaana Hai.

Na Wo Aas Hai, Na Wo Niraash Hai,
Wo To Ek Ehsaas Hai.

Na Wo Heer Hai, Na Wo Pir Hai,
Wo To Ek Taqdeer Hai.

Na Wo Ibadat Hai, Na Wo Shahadat Hai,
Wo To Ek Rahat Hai.

Na Wo Saaz Hai, Na Wo Aawaz Hai,
Wo To Ek Aaghaz Hai.

Na Wo Purab Hai, Na Wo Paschim Hai,
Wo To Ek Sangam Hai.

Na Wo Bhatiyar Hai, Na Wo Bihag Hai,
Wo To Ek Poorvi Rag Hai.


( Heer - Self-respect,     Pir - Guide,     Ibadat - Prayer,    Shahadat - Martyrdom/Testification
Bhatiyar - Hindustani Raga practices in early morning, 
Bihag - Hindustani Raga practices in second quarter of night, 
Poorvi - Hindustani Raga practices on sunset. )


 Aashish "Joy Madhukaran"
@All right reserved 2011